Basit Bhopali

un ka barbaad-e-karam kahne ke qabil ho gaya

Basit Bhopali

Bhopal, Madhya Pradesh, India

1961
un kā barbād-e-karam kahne ke qābil ho gayā
dard pahlū meñ jahāñ bhī thā vahīñ dil ho gayā
bārhā dekhā hai dil ne o mire mahv-e-ḳhirām
hashr uTThā aur tire qadmoñ meñ shāmil ho gayā
dil jahāñ uchhlā fazā-e-do-jahāñ par chhā gayā
arsa-e-kaunain jab simTā mirā dil ho gayā
be-ḳhabar rahnā hī achchhā is jahān-e-ġhair meñ
miT gayā jo vāqif-e-ādāb-e-mahfil ho gayā
jo nigāh-e-shauq uTThī husn ban kar rah ga.ī
jo qadam ham ne uThāyā naqsh-e-manzil ho gayā
yā kabhī manzil thī maqsūd-e-mazāq-e-justujū
yā mazāq-e-justujū maqsūd-e-manzil ho gayā
haa.e 'bāsit' ye mire ḳhūn-e-tamannā kā asar
aur bhī rañgīn kuchh dāmān-e-qātil ho gayā
Top Urdushayar.com