Manzoor Imakni

na kuchh sawal kiya aur na kuchh gila mujhse

Manzoor Imakni

na kuchh savāl kiyā aur na kuchh gila mujh se
ajiib shaḳhs thā mil kar bichhaḌ gayā mujh se
tū apnī zaat meñ ik manzil-e-vafā hai magar
maiñ vo charāġh ki raushan hai rāstā mujh se
kisī ne chhīn lī bīnā.ī merī āñkhoñ kī
kisī ne aa.ina mansūb kar diyā mujh se
mazā to jab hai tirī justujū meñ jān-e-bahār
mire vajūd kā ho jaa.e sāmnā mujh se
bujhā diyā to añdheroñ ne aa ke gher liyā
jalā diyā to ulajhne lagī havā mujh se
vo sab se chhup ke mire ghar to aa gayā lekin
supurdagī kā taqāzā na kar sakā mujh se
javāb kuchh bhī diyā jaa.e ġham nahīñ 'manzar'
savāl ye hai ki pūchhegā kyā ḳhudā mujh se
Top Urdushayar.com