shahr ke fōtpath par kuchh chubhte manzar dekhnā
sard rātoñ meñ kabhī ghar se nikal kar dekhnā
ye samajh lo tishnagī kā daur sar par aa gayā
raat ko ḳhvāboñ meñ rah rah kar samundar dekhnā
kis ke hāthoñ meñ haiñ patthar kaun ḳhālī haath hai
ye samajhne ke liye shīsha sā ban kar dekhnā
be-hisī hai buz-dilī hai hausla-mandī nahīñ
baiTh kar sāhil pe tūfānoñ ke tevar dekhnā
ai mire āñgan ke saa.e ai mire phaldār peḌ
terī qismat meñ hai ab patthar hī patthar dekhnā
ye sitam ye shorisheñ tamhīd haiñ is baat kī
bastī bastī har taraf ḳhuuñ kā samundar dekhnā