Saeed Akhtar

pahle wo qaid-e-marg se mujhko riha kare

Saeed Akhtar

pahle vo qaid-e-marg se mujh ko rihā kare
phir ho to bevafā.ī kā be-shak gila kare
ab kashmakash ke bojh kī tāqat nahīñ rahī
ab dil meñ koī aas na jaage ḳhudā kare
ho sham.a to batā.e ki jalte haiñ kis tarah
jugnū bhī mar ga.e hoñ to parvāna kyā kare
vo hukm de rahe haiñ magar sochte nahīñ
kis tarah koī dil ko jigar se judā kare
vo mushta.il ki zid kī bhī hai intihā koī
ham muntazir ki aaj magar ibtidā kare
andar kā baaġh jis kā badal jaa.e dasht meñ
vo shaḳhs tere phuul se chehre ko kyā kare
ḳhairāt bhī milī na jahāñ se tamām umr
'aḳhtar' vahīñ pe aaj bhī baiThā duā kare
Top Urdushayar.com