un ko mere zabt-e-ġham se bhī gila rah jā.egā
mushkileñ jab ḳhatm hoñgī hausla rah jā.egā
rafta rafta dil bhī Thahrā aañkh se aañsū ruke
ham ye samjhe the ki ye ġham jaan le kar jā.egā
ek ik kar ke zamīñ se sab gale mil jā.eñge
jāne-pahchānoñ se rishta yaad kā rah jā.egā
manziloñ kī ḳhvāhisheñ jab toḌ deñgī dil meñ dam
jaane vāloñ ke liye bas rāsta rah jā.egā
aap kī āñkhoñ meñ utrā hai to ujlā ho gayā
kyā ḳhabar thī aks merā aa.ina ho jā.egā
nisbateñ ham se zamīñ kī chhin ga.iiñ 'parvīñ' to kyā
āsmānoñ se hamārā rābta rah jā.egā