dil kā ahvāl zamāne pe ayaañ ho saktā
lafz ai kaash tamannā kī zabāñ ho saktā
ye samajhte hī nahīñ dard kā baa.is kyā hai
merā dil kaash dil-e-chāra-garāñ ho saktā
dekh saktā kisī ḳhanjar kī lapak kā manzar
koī ġham-ḳhvār qarīb-e-rag-e-jāñ ho saktā
chāñd kī mash.al-e-be-kār bujhā dī jaatī
raat par raat kā shiddat se gumāñ ho saktā
kam na hotī jo tapish dard ke añgāroñ kī
ruuh meñ hausla-e-zabt-e-fuġhāñ ho saktā
sher banñe se ḳhayālāt bikhar jaate haiñ
kaash 'jamshed' ye dukh yūñhī bayāñ ho saktā