Basit Bhopali

ishq-e-sitam-parast kya husn-e-sitam-shiar kya

Basit Bhopali

Bhopal, Madhya Pradesh, India

1961
ishq-e-sitam-parast kyā husn-e-sitam-shi.ār kyā
ham bhī unhīñ ke haiñ to phir apnā bhī e'tibār kyā
ishrat-e-zīst kī qasam ishrat-e-musta.ār kyā
ġham bhī jo mustaqil na ho ġham kā bhī e'tibār kyā
miTtī huī hayāt kyā luTtī huī bahār kyā
ya.anī qarīb-e-sub.h-e-ġham sham.a kā e'tibār kyā
yaad se un kī kaam rakh dard kā ehtimām rakh
maut bhī aa hī jā.egī maut kā intizār kyā
baḌhtī raheñgī tā-ba-kai ahl-e-junūñ kī vahshateñ
chhupte raheñge vo pas-e-ā.īna-e-bahār kyā
qīmat-e-kā.enāt kyā un kī nigāh-e-nāz meñ
fitna-e-hashr ke liye fitna-e-rozgār kyā
rāh-e-darāz jabr hai kahte haiñ jis ko zindagī
rāh-e-darāz-e-jabr meñ manzil-e-iḳhtiyār kyā
itnā bhī intizār-e-dost haa.e ye e'tibār-e-dost
ai dil-e-be-qarār-e-dost dost pe iḳhtiyār kyā
ishq se sar-garāñ na ho husn se bad-gumāñ na ho
jis ke liye ḳhizāñ na ho us ke liye bahār kyā
yaad meñ terī pā liyā maiñ ne sukūn-e-zindagī
ab tirī yaad meñ mujhe chain kyā qarār kyā
merī nazar se dekhiye apnā jamāl-e-be-misāl
chashm-e-bahār-sāz meñ ā.īna-e-bahār kyā
merī vafā vafā nahīñ un kī jafā jafā nahīñ
haa.e usī kā naam hai ālam-e-e'tibār kyā
'bāsit'-e-figār kī yaad bhī kyā na aa.egī
ab na suneñge ham-vatan nāla-e-be-qarār kyā
Top Urdushayar.com