Jamshed Masroor

tanha har ek rah se guzar jaana chahiye

Jamshed Masroor

tanhā har ek rah se guzar jaanā chāhiye
jaise jiye haiñ vaise hī mar jaanā chāhiye
jaane ye dil kā dard kahāñ tak satā.egā
dariyā chaḌhe to us ko utar jaanā chāhiye
bujh kar vajūd-e-sho.ala sulagtā hai kis liye
maiñ raakh huuñ to mujh ko bikhar jaanā chāhiye
āvārgī meñ kab se guzartī hai raat bhī
āḳhir kabhī to shaam ko ghar jaanā chāhiye
ai dosto khaḌe ho mire gird kis liye
koī batāo mujh ko kidhar jaanā chāhiye
har jalva-e-jamāl se tañg aa chukā hai jī
ik roz zindagī se bhī bhar jaanā chāhiye
'jamshed' sun rahe ho safar kī pukār kyā
tūfāñ ko yuuñ na rah meñ Thahar jaanā chāhiye
Top Urdushayar.com