shauq ke shahr-e-tamannā ke Thikāne guzre
raat phir zehn se kuchh ḳhvāb purāne guzre
chāñd jab jhiil meñ utrā to manāzir kī tarah
mujh ko chhūkar tire baazū tire shāne guzre
jaane kis shaḳhs ke baare meñ pareshān ho tum
ab hameñ ḳhud ko bhulāte bhī zamāne guzre
ham to har moḌ bichhā aa.e the dāman apnā
jaane kis raah bahāroñ ke ḳhazāne guzre
bujhne lagtā hai kisī sham.a ke mānind vajūd
jab tirī yaad havāoñ ke bahāne guzre
manzar-e-shauq vahī hai to safar kaisā thā
ham guzar aa.e ki 'jamshed' zamāne guzre