ye chārāgar to yahāñ har galī meñ milte haiñ
koī batāo kahāñ dil ke chaak silte haiñ
tire badan kī sabā kis chaman meñ chaltī hai
kahāñ pe ab tire hoñToñ ke phuul khilte haiñ
fazā meñ bikhrī haiñ zard āñsūon kī tahrīreñ
vidā-e-gul meñ daraḳhtoñ ke haath milte haiñ
vo jin ke ashk bichhaḌte hue nahīñ thamte
mileñ bichhaḌ ke to kyoñ be-ruḳhī se milte haiñ
ġhalat gumān na kar merī ḳhushk āñkhoñ par
samundaroñ meñ jazīre zarūr milte haiñ
sulag uThī hai tirī yaad meñ fazā-e-ḳhayāl
ki jaise tīrgī-e-shab meñ phuul khilte haiñ