yaad ke darīchoñ meñ bārishoñ ke manzar haiñ
kis nagar kī bāteñ haiñ kin rutoñ ke manzar haiñ
ajnabī dayāroñ meñ shauq-e-dīd le jaao
kuchh nahīñ to har jānib dilbaroñ ke manzar haiñ
umr ho ga.ī lekin ab bhī haiñ ta.āqub meñ
us galī se aage bhī titliyoñ ke manzar haiñ
dil kī nam zamīnoñ par chal rahe haiñ ham kab se
duur zard peḌoñ par āñdhiyoñ ke manzar haiñ
maiñ huuñ aur samundar hai pesh-e-sā.id-e-sīmīñ
dar-pas-e-ruḳh-e-zarrīñ parbatoñ ke manzar haiñ
husn-e-kam-qabā dariyā aur huā barahna-pā
naqsh aaj bhī dil par jañgaloñ ke manzar haiñ
kyā har ek jānib se chal ke ḳhud tak aayā huuñ
mere chār-sū 'jamshed' rāstoñ ke manzar haiñ