jab jaañ pe lab-e-jānāñ kī mahak ik bārish manzar ho jaa.e
ham haath baḌhā.eñ aur is meñ mahtāb gul-e-tar ho jaa.e
kab dil kā laḌakpan jā.egā har vaqt yahī hai zid us kī
jo māñge usī pal mil jaa.e jo soche vahīñ par ho jaa.e
ik ālam-e-jāñ vo hotā hai taḳhsīs nahīñ jis meñ koī
is vaqt hamārī bāñhoñ meñ jo aa.e vo dilbar ho jaa.e
āshob-e-mohabbat kā aañsū rakhtā hai talavvun fitrat meñ
āñkhoñ meñ rahe to qatra hai Tapke to samundar ho jaa.e
jitnā bhī sameTeñ āñkhoñ meñ rahtā hī nahīñ kuchh yaad hameñ
yārab vo tilism-e-āriz-o-lab ik roz to azbar ho jaa.e
'jamshed' matā-e-husn jahāñ sab ahl-e-nazar kā hissa hai
jo chāhe qalandar ho jaa.e jo chāhe sikandar ho jaa.e