ye kis maqām-e-tamannā se dil guzarne lagā
havā hai jism meñ ik zahr sā utarne lagā
ulajh rahā hai tirī bū-e-pairahan se badan
ki phuul halqa-e-bāzū kā kaam karne lagā
havā-e-dard ne mohlat na dī sambhalne kī
nuqūsh-e-yād sameTe to maiñ bikharne lagā
vo thā sitāra-e-rañgīñ ki māhtāb kī qaash
huī jo shab to tire lab pe rañg ubharne lagā
huā kuchh is tarah insāf bhī ravā 'jamshed'
ki munsifoñ se dil-e-be-gunāh Darne lagā