Jamshed Masroor

bahar damakti barf mein andar mahakti raat mein

Jamshed Masroor

bāhar damaktī barf meñ andar mahaktī raat meñ
us ke badan kā phuul hai jaise havā ke haat meñ
khiḌkī se chhante chāñd meñ nazdīk ātish-dān ke
zulfoñ kā saaya oḌh ke baiThī haiñ āñkheñ ghaat meñ
us ke laboñ se TuuT kar sīmāb-e-mai girne lagā
giile gulāboñ se uḌe jugnū añdherī raat meñ
ik niim raushan kunj kī jādūgarī simTī huī
shānoñ ke sīmīñ harf meñ āñkhoñ kī niilī baat meñ
uḌtā huā ik lafz sā hoñToñ ne āñkhoñ se kahā
tahrīr meñ aane lagā bikhrā huā jazbāt meñ
Top Urdushayar.com