kaliyoñ kī tarah dhulā dhulā hai
vo jism shumāl meñ banā hai
gul-bār haiñ zulf o shāna us ke
qāmat meñ vo tavīl o dilrubā hai
lamhoñ ke samundar meñ jaise
bahtā huā chāñd aa rahā hai
hoñToñ se vo dekhtā hai mujh ko
āñkhoñ se mujhe pukārtā hai
guzrī hai ramoñ meñ umr merī
hirnoñ se mirā muāshiqa hai
'jamshed' sambhal ke us badan par
bas ḳhanda-e-surḳh kī ridā hai