Basit Bhopali

hayat-o-maut ka ek silsila hai

Basit Bhopali

Bhopal, Madhya Pradesh, India

1961
hayāt-o-maut kā ik silsilā hai
mohabbat intihā tak ibtidā hai
maiñ kyā jānūñ ki bāb-e-tauba kyā hai
abhī to mai-kade kā dar khulā hai
zarā phir dil pe nazreñ Daal diije
charāġh-e-ārzū ḳhāmosh sā hai
atā kar dī tumhārī aarzū ne
vo ik duniyā jo duniyā se judā hai
hasīñ hoñ laakh duniyā ke manāzir
vo kyā dekhe jo tum ko dekhtā hai
nazar ke saath nazzāra bhī gum hai
dil-e-muztar ye kis kā sāmnā hai
mire dil ko na rakh be-rañg saaqī
ki har sāġhar gulābī ho rahā hai
na dozaḳh hai na jannat hai to 'bāsit'
mire a.amāl-e-ġham kā kyā silā hai
Top Urdushayar.com