yuuñ shor-o-shar ke saare talabgār so ga.e
sannāTe chīḳhne lage bāzār so ga.e
palkoñ pe bojh ban ga.iiñ jab din kī raunaqeñ
āñkhoñ meñ bhar ke ḳhvāb girāñ-bār so ga.e
dīvār-o-dar bhī apnī marammat se tañg the
gir jaa.e ab makān ki me.amār so ga.e
sūraj ke saath tū bhī lahū ro ke Duub jā
ai shām-e-hijr tere parastār so ga.e
'ash.har' kisī ke qurb-e-havasnāk se ġharaz
apnā bhī dil thā bhīñch ke ik baar so ga.e