sab tamannāoñ se ḳhvāboñ se nikal aa.e haiñ
ham bahut duur sarāboñ se nikal aa.e haiñ
ḳhud ko jab bhuul se jaate haiñ to yuuñ lagtā hai
zindagī tere azāboñ se nikal aa.e haiñ
raushnī mujh ko milī hai to zarā jāñch to luuñ
aaj sab chehre naqāboñ se nikal aa.e haiñ
ham nikal aa.e bahisht-e-shab-e-tanhā.ī se
aur kuchh log hijāboñ se nikal aa.e haiñ
ham bhī is shahr kī vīrān sī raunaq meñ kahāñ
apne mānūs ḳharāboñ se nikal aa.e haiñ