Iqbal Ashhar Qureshi

ye ghar sarab-e-tamanna dikhai deta hai

Iqbal Ashhar Qureshi

ye ghar sarāb-e-tamannā dikhā.ī detā hai
jise bhī dekhiye pyāsā dikhā.ī detā hai
ye kā.enāt bhī ik ḳhvāb-e-nā-tamām sī hai
aur is kā silsila dhokā dikhā.ī detā hai
qarīb aa.e to lagtā hai jism ḳhushbū kā
vo duur se koī sho.ala dikhā.ī detā hai
maiñ ik makān kī tārīf kis tarah kar duuñ
ye saarā shahr hī achchhā dikhā.ī detā hai
hazār chehre dhuñdlakoñ meñ kho ga.e 'ash.har'
jidhar bhī dekhiye sahrā dikhā.ī detā hai
Top Urdushayar.com