ḳhizāñ kā qarz to ik ik daraḳht par hai yahāñ
ye aur baat ki har shāḳh bār-var hai yahāñ
jo soch saktā hai vo zehn jal rahā hai abhī
jo dekh saktī hai vo aañkh ḳhuuñ meñ tar hai yahāñ
sunegā kaun in āñkhoñ kī be-sadā fariyād
samā.atoñ kā to andāz hī digar hai yahāñ
satāyā aaj munāsib jagah pe bārish ne
isī bahāne Thahar jaa.eñ us kā ghar hai yahāñ
hisār-e-jism se bāhar bhī zindagī hai mujhe
ye aur baat ki ehsās mo'tabar hai yahāñ