Basit Bhopali

mere rone par kisi ki chashm giryan hae hae

Basit Bhopali

Bhopal, Madhya Pradesh, India

1961
mere rone par kisī kī chashm giryāñ haa.e haa.e
vo gul-e-tar vo fazā-e-shabnamistāñ haa.e haa.e
vo kisī kī yād-e-paiham shām-e-hijrāñ haa.e haa.e
har nafas vaqf-e-navā-hā-e-pareshāñ haa.e haa.e
dil pe dard-e-ishq kā ek ek ehsāñ haa.e haa.e
jaan kī sūrat meñ koī dushman-e-jāñ haa.e haa.e
sub.h-e-hijrāñ bad-tar-az-shab-hā-e-hijrāñ haa.e haa.e
zindagī ik mustaqil ḳhvāb-e-pareshāñ haa.e haa.e
dil kī rāhat ke liye un kī mohabbat ke liye
koshish-e-be-sūd phirtā hadd-e-imkāñ haa.e haa.e
merī ḳhātir aur vo majbūriyoñ kā e'tirāf
un ke nāzuk dil ko bhī ehsās-e-hijrāñ haa.e haa.e
kaifiyāt-e-sajda-e-zauq-e-mohabbat al-amāñ
ka.aba-e-dil be-niyāz-e-kufr-o-īmāñ haa.e haa.e
vo mirā kaif-e-nazar vo be-ḳhudī vo sarḳhushī
fursat-e-nazzāra-hā-e-husn-e-jānāñ haa.e haa.e
un kī mahfil meñ bhī huuñ dāman-kash-e-vahshat-ba-dil
har jagah ik ālam-e-ādāb-e-zindāñ haa.e haa.e
yaas kī maujoñ meñ har manzar kā āḳhir Dūbnā
dil se vo uThtā huā tūfān-e-hirmāñ haa.e haa.e
jo na samjheñ dard kyā hai dard kā ehsās kyā
kab tak un ke vāste 'bāsit' ġhazal-ḳhvāñ haa.e haa.e
Top Urdushayar.com