tū mirī baat ke jaadū meñ to aa hī jaatā
chāhtā maiñ to tire dil meñ samā hī jaatā
bah ga.ī ek sadā sail-e-sadā meñ varna
maiñ tire shahr meñ ik shor uThā hī jaatā
vo agar dekh chukā thā ka.ī niilī lāsheñ
kyā zarūrī thā ki phir zahr chakhā hī jaatā
ham to kyā ḳhud use ma.alūm thā anjām apnā
dekhne ke liye kaun us kī tabāhī jaatā
ye zamīñ ek nayā rāsta hotī 'ash.har'
ham se pahle jo udhar se koī raahī jaatā