ḳhvāhish hamāre ḳhuun kī labrez ab bhī hai
kuchh narm paḌ ga.ī hai magar tez ab bhī hai
is zindagī ke saath buzurgoñ ne dī hameñ
ik aisī maslahat jo shar-añgez ab bhī hai
hālāñki iztirāb hai zāhir sukūn se
kyā kiije us kā lahja dil-āvez ab bhī hai
muddat huī shabāb ke charche the shahr meñ
vo za.afrānī rañg sitam-ḳhez ab bhī hai
'ash.har' bahut sī pattiyāñ shāḳhoñ se chhin ga.iiñ
tafsīr kyā kareñ ki havā tez ab bhī hai