vo naqsh-e-pā haiñ koī dūsrā chale to gire
tire qadam pe tirā āshnā chale to gire
mujhe hai ilm-e-taḳhayyul kī tez-gāmī kā
tire ḳhayāl meñ baiThā huā chale to gire
na sochī baat jo tū ne vo likh na jā.ūñ kahīñ
qalam ye tere liye sochtā chale to gire
qubūl kar liyā qabroñ ne saarī lāshoñ ko
yahāñ nigāh koī ab uThā chale to gire
ye be-ḳhudī meñ sambhalnā to sahl hai 'aḳhtar'
hamārī raah koī pārsā chale to gire