Iqbal Ashhar Qureshi

meri KHwahish na sahi tera irada hai zarur

Iqbal Ashhar Qureshi

merī ḳhvāhish na sahī terā irāda hai zarūr
saḳht mushkil hai ki tujh sā mujhe honā hai zarūr
kaun sā rañj huā hosh nahīñ hai lekin
apne nāḳhun se hī khurchā huā siina hai zarūr
ab vo pahlī sī fazāoñ meñ kudūrat na rahī
haañ mirī aañkh meñ halkā sā dhuñdlakā hai zarūr
ham ko is daur kī tārīḳh to likhnī hogī
ek chhoTā sā qalam hī sahī apnā hai zarūr
ro.ab us lafz kā rahtā hai musallat 'ash.har'
be-niyāzī meñ bhī ma.abūd jo merā hai zarūr
Top Urdushayar.com