Abdul Hamid Adam

zulf-e-barham sambhaal kar chaliye

Abdul Hamid Adam

Gujranwala, Punjab, Pakistan

1910-1981
zulf-e-barham sambhāl kar chaliye
rāsta dekh-bhāl kar chaliye
mausam-e-gul hai apnī bāñhoñ ko
merī bāñhoñ meñ Daal kar chaliye
mai-kade meñ na baiThiye tāham
kuchh tabī.at bahāl kar chaliye
kuchh na deñge to kyā ziyāñ hogā
harj kyā hai savāl kar chaliye
hai agar qatl-e-ām kī niyyat
jism kī chhab nikāl kar chaliye
kisī nāzuk-badan se Takrā kar
koī kasb-e-kamāl kar chaliye
yā dupaTTa na lījiye sar par
yā dupaTTa sambhāl kar chaliye
yaar dozaḳh meñ haiñ muqīm 'adam'
ḳhuld se intiqāl kar chaliye
Top Urdushayar.com