har taraf soz kā andāz judāgāna hai
mutma.in sham.a hai yā raqs meñ parvāna hai
bartar-az-vahm-o-tasavvur mirā mai-ḳhāna hai
zindagī kyā hai mirī laġhzish-e-mastāna hai
vo jo ik shauq-e-junūñ-sāz kā afsāna hai
aañkh shāyad kahe dil to abhī dīvāna hai
hosh aayā na kabhī maiñ ne junūñ ko samjhā
dāvar-e-hashr yahīñ tak mirā afsāna hai
ab nigah un kī nigāhoñ se mile yā na mile
ḳhud hī pahuñchegā jo taqdīr kā paimāna hai
aap sun leñ to kuchh aa jaa.e asar bhī shāyad
yuuñ to har tarah mukammal mirā afsāna hai
husn ik phuul sahī nāzuk-o-rangīñ lekin
ishq se duur hai jab tak gul-e-vīrāna hai
kasrat-e-fahm ne itnā bhī samajhne na diyā
maiñ huuñ afsāna ki duniyā mirā afsāna hai
ai ḳhushā tāla-e-bedār-e-mohabbat 'bāsit'
aaj un kī bhī nazar meñ mirā afsāna hai