so ke jab vo nigār uThtā hai
misl-e-abr-e-bahār uThtā hai
terī āñkhoñ ke āsare ke baġhair
kab ġham-e-rozgār uThtā hai
do ghaḌī aur dil lubhātā jā
kyuuñ ḳhafā ho ke yaar uThtā hai
aise jaatī hai zindagī kī umiid
jaise pahlū se yaar uThtā hai
zindagī shirkatoñ se chaltī hai
kis se tanhā ye baar uThtā hai
jo bhī uThtā hai us kī mahfil se
ḳhasta o dil-figār uThtā hai
aaj kī raat ḳhair se guzre
dard-e-dil baar baar uThtā hai
aao kuchh zindagī ke naaz saheñ
kis se tanhā ye baar uThtā hai
hosh meñ ho to mai-kade se 'adam'
kab koī bāda-ḳhvār uThtā hai