aatā hai kaun dard ke māroñ ke shahr meñ
rahte haiñ log chāñd sitāroñ ke shahr meñ
miltā to hai ḳhushī kī haqīqat kā kuchh surāġh
lekin nazar-fareb ishāroñ ke shahr meñ
un añkhḌiyoñ ko dekh ke hotā hai ye gumāñ
ham aa base haiñ bāda-gusāroñ ke shahr meñ
ai dil tire ḳhulūs ke sadqe! zarā sā hosh
dushman bhī be-shumār haiñ yāroñ ke shahr meñ
dekheñ 'adam' nasīb meñ hai kyā likhā huā
dil bechne chale haiñ nigāroñ ke shahr meñ