vo bāteñ tirī vo fasāne tire
shagufta shagufta bahāne tire
bas ik dāġh-e-sajda mirī kā.enāt
jabīneñ tirī āstāne tire
mazālim tire āfiyat-āfrīñ
marāsim suhāne suhāne tire
faqīroñ kī jholī na hogī tahī
haiñ bharpūr jab tak ḳhazāne tire
diloñ ko jarāhat kā lutf aa gayā
lage haiñ kuchh aise nishāne tire
asīroñ kī daulat asīrī kā ġham
na.e daam tere purāne tire
bas ik zaḳhm-e-nazzāra hissa mirā
bahāreñ tirī āshiyāne tire
faqīroñ kā jamghaT ghaḌī-do-ghaḌī
sharābeñ tirī bāda-ḳhāne tire
zamīr-e-sadaf meñ kiran kā maqām
anokhe anokhe Thikāne tire
bahār o ḳhizāñ kam-nigāhoñ ke vahm
bure yā bhale sab zamāne tire
'adam' bhī hai terā hikāyat-kada
kahāñ tak ga.e haiñ fasāne tire