bahut se logoñ ko ġham ne jilā ke maar diyā
jo bach rahe the unheñ mai pilā ke maar diyā
ye kyā adā hai ki jab un kī barhamī se ham
na mar sake to hameñ muskurā ke maar diyā
na jaate aap to āġhosh kyuuñ tahī hotī
ga.e to aap ne pahlū se jā ke maar diyā
mujhe gila to nahīñ aap ke taġhāful se
magar huzūr ne himmat baḌhā ke maar diyā
na aap aas bañdhāte na ye sitam hotā
hameñ to aap ne amrit pilā ke maar diyā
kisī ne husn-e-taġhāful se jaañ talab kar lī
kisī ne lutf ke dariyā bahā ke maar diyā
jise bhī maiñ ne ziyāda tapāk se dekhā
usī hasīn ne patthar uThā ke maar diyā
vo log māñgeñge ab ziist kis ke āñchal se?
jinheñ huzūr ne dāman chhuḌā ke maar diyā
chale to ḳhanda-mizājī se jā rahe the ham
kisī hasīn ne raste meñ aa ke maar diyā
rah-e-hayāt meñ kuchh aise pech-o-ḳham to na the
kisī hasīn ne raste meñ aa ke maar diyā
karam kī sūrat-e-avval to jāñ-gudāz na thī
karam kā dūsrā pahlū dikhā ke maar diyā
ajiib ras-bharā rahzan thā jis ne logoñ ko
tarah tarah kī adā.eñ dikhā ke maar diyā
ajiib ḳhulq se ik ajnabī musāfir ne
hameñ ḳhilāf-e-tavaqqo.a bulā ke maar diyā
'adam' baḌe adab-ādāb se hasīnoñ ne
hameñ sitam kā nishāna banā ke maar diyā
ta.ayyunāt kī had tak to jī rahā thā 'adam'
ta.ayyunāt ke parde uThā ke maar diyā