itnā to dostī kā sila dījiye mujhe
apnā samajh ke zahr pilā dījiye mujhe
uTThe na tā-ki aap kī jānib nazar koī
jitnī bhī tohmateñ haiñ lagā dījiye mujhe
kyuuñ aap kī ḳhushī ko mirā ġham kare udaas
ik talḳh hādisa huuñ bhulā dījiye mujhe
sidq-o-safā ne mujh ko kiyā hai bahut ḳharāb
makr-o-riyā zarūr sikhā dījiye mujhe
maiñ aap ke qarīb hī hotā huuñ har ghaḌī
mauqa kabhī paḌe to sadā dījiye mujhe
har chiiz dastiyāb hai bāzār meñ 'adam'
jhūTī ḳhushī ḳharīd ke lā dījiye mujhe