bas is qadar hai ḳhulāsa mirī kahānī kā
ki ban ke TuuT gayā ik habāb paanī kā
milā hai saaqī to raushan huā hai ye mujh par
ki hazf thā koī TukḌā mirī kahānī kā
mujhe bhī chehre pe raunaq dikhā.ī detī hai
ye mo.ajiza hai tabīboñ kī ḳhush-bayānī kā
hai dil meñ ek hī ḳhvāhish vo Duub jaane kī
koī shabāb koī husn hai ravānī kā
libās-e-hashr meñ kuchh ho to aur kyā hogā
bujhā sā ek chhanākā tirī javānī kā
karam ke rañg nihāyat ajiib hote haiñ
sitam bhī ek tarīqa hai mehrbānī kā
'adam' bahār ke mausam ne ḳhud-kushī kar lī
khulā jo rañg kisī jism-e-arġhavānī kā