kyā baat hai ai jān-e-suḳhan baat kiye jā
māhaul pe naġhmāt kī barsāt kiye jā
duniyā kī nigāhoñ meñ baḌī hirs bharī hai
nā-ahl zamāne se hijābāt kiye jā
nekī kā irāda hai to phir pūchhnā kaisā
din raat faqīroñ kī mudārāt kiye jā
chalte raheñ mad.hosh piyāloñ kī ravish par
nādān sitāroñ ko hidāyāt kiye jā
allāh tirā husn kare aur ziyāda
ham rāh-nashīnoñ se mulāqāt kiye jā
ban aa.e javābāt to mil jā.eñge ḳhud hī
ai dāvar-e-mahshar tū savālāt kiye jā
hastī o adam kyā haiñ ba-juz jumbish-e-abrū
ai jān-e-kināyāt ishārāt kiye jā
kahtā hai 'adam' mujh ko har ik gosha-e-hastī
aayā hai to kuchh sair-e-ḳharābāt kiye jā