dekh kar dil-kashī zamāne kī
aarzū hai fareb khāne kī
ai ġham-e-zindagī na ho nārāz
mujh ko aadat hai muskurāne kī
zulmatoñ se na Dar ki raste meñ
raushnī hai sharāb-ḳhāne kī
aa tire gesuoñ ko pyaar karūñ
raat hai mish.aleñ jalāne kī
kis ne sāġhar 'adam' buland kiyā
tham ga.iiñ gardisheñ zamāne kī