Basit Bhopali

sab kaenat-e-husn ka hasil liye hue

Basit Bhopali

Bhopal, Madhya Pradesh, India

1961
sab kā.enāt-e-husn kā hāsil liye hue
baiThā huuñ dil meñ ishq kī mahfil liye hue
ik ik nazar farebī-e-sāhil liye hue
har mauj sāmne hai mirā dil liye hue
sarmāya-e-nashāt ġham-e-dil liye hue
huuñ ya.anī kaif-e-ishq kā hāsil liye hue
phir kashtī-e-hayāt hai girdāb-e-ġham ke saath
tufān-e-be-niyāzī-e-sāhil liye hue
jī chāhtā hai thak ke kahīñ baiTh jā.iye
āġhosh-e-pā-e-shauq meñ manzil liye hue
jab lutf hai ki maiñ bhī rahūñ apne hosh meñ
aao mirī nigāh mirā dil liye hue
vo mast-o-mahv apne faroġh-e-nashāt meñ
maiñ mutma.in huuñ dard bharā dil liye hue
ai qais-e-dīd apne hijāboñ se hoshiyār
har parda-e-nigāh hai mahmil liye hue
mujh par bhī kuchh karam nigah-e-neshtar-navāz
maiñ bhī huuñ ek dard bharā dil liye hue
'bāsit' kisī jihat se na ho āshnā magar
halkā sā ik tasavvur-e-manzil liye hue
Top Urdushayar.com