Abdul Hamid Adam

aagahi mein ek KHala maujud hai

Abdul Hamid Adam

Gujranwala, Punjab, Pakistan

1910-1981
āgahī meñ ik ḳhalā maujūd hai
is kā matlab hai ḳhudā maujūd hai
hai yaqīnan kuchh magar vāzeh nahīñ
aap kī āñkhoñ meñ kyā maujūd hai
bāñkpan meñ aur koī shai nahīñ
sādgī kī intihā maujūd hai
hai mukammal bādshāhī kī dalīl
ghar meñ gar ik boriyā maujūd hai
shauqiya koī nahīñ hotā ġhalat
is meñ kuchh terī razā maujūd hai
is liye tanhā huuñ maiñ garm-e-safar
qāfile meñ rahnumā maujūd hai
har mohabbat kī binā hai chāshnī
har lagan meñ mudda.ā maujūd hai
har jagah har shahr har iqlīm meñ
dhuum hai us kī jo nā-maujūd hai
jis se chhupnā chāhtā huuñ maiñ 'adam'
vo sitamgar jā-ba-jā maujūd hai
Top Urdushayar.com