dil hai baḌī ḳhushī se ise pā.emāl kar
lekin tire nisār zarā dekh-bhāl kar
itnā to dil-fareb na thā dām-e-zindagī
le aa.e e'tibār ke sāñche meñ Dhaal kar
saaqī mire ḳhulūs kī shiddat ko dekhnā
phir aa gayā huuñ gardish-e-daurāñ ko Taal kar
ai dost terī zulf-e-pareshāñ kī ḳhair ho
merī tabāhiyoñ kā na itnā ḳhayāl kar
aayā huuñ yuuñ bachā ke havādis se ziist ko
laate haiñ jaise koh se chashma nikāl kar
thoḌe se fāsle meñ bhī haa.el haiñ laġhzisheñ
saaqī sambhāl kar mire saaqī sambhāl kar
ham se 'adam' chhupāo to ḳhud bhī na pī sako
rakkhā hai tum ne kuchh to surāhī meñ Daal kar