Abdul Hamid Adam

mushkil ye aa paDi hai ki gardish mein jam hai

Abdul Hamid Adam

Gujranwala, Punjab, Pakistan

1910-1981
mushkil ye aa paḌī hai ki gardish meñ jaam hai
ai hosh varna mujh ko tirā ehtirām hai
fursat kā vaqt DhūñDh ke milnā kabhī ajal
tujh ko bhī kaam hai abhī mujh ko bhī kaam hai
aatī bahut qarīb se ḳhushbū hai yaar kī
jaarī idhar udhar hī kahīñ daur-e-jām hai
kuchh zahr ko taraste haiñ kuchh mai meñ ġharq haiñ
saaqī ye terī bazm kā kyā intizām hai
mai aur harām? hazrat-e-zāhid ḳhudā kā ḳhauf
vo to kahā gayā thā ki mastī harām hai
ai zulf-e-ambarīñ zarā lahrā ke phailnā
ik raat is chaman meñ mirā bhī qayām hai
ai zindagī tū aap hī chupke se dekh le
jām-e-adam pe likkhā huā kis kā naam hai
Top Urdushayar.com