Abdul Hamid Adam

jis waqt bhi mauzun si koi baat hui hai

Abdul Hamid Adam

Gujranwala, Punjab, Pakistan

1910-1981
jis vaqt bhī mauzūñ sī koī baat huī hai
māhaul se naġhmāt kī barsāt huī hai
mai-ḳhāne meñ hai shab ke guzarne kā ye aalam
mahsūs ye hotā hai abhī raat huī hai
hai arsa-e-mahshar bhī koī kunj-e-gulistāñ!
dekho to kahāñ un se mulāqāt huī hai
ye dekh ki kis haal meñ ham zinda haiñ ab tak
mat pūchh ki kaise basar-auqāt huī hai
imkāñ nikal aa.e haiñ 'adam' sulh ke kuchh kuchh
kal shab ġham-e-hastī se mirī baat huī hai
Top Urdushayar.com