mirā iḳhlās bhī ik vaj.h-e-dil-āzārī hai
banda-parvar mujhe ehsās-e-gunahgārī hai
aap aziyyat kā banāte haiñ jo ḳhūgar mujh ko
is se behtar bhalā kyā sūrat-e-ġham-ḳhvārī hai
mahz taskīn-barārī ke bahāne haiñ sab
maiñ to kahtā huuñ mohabbat bhī riyā-kārī hai
mashq kartā hai nasīhat kī jin ayyām meñ tū
vā.iz-e-shahr vahī mausam-e-mai-ḳhvārī hai
kaise aa.egā na sar-dard ko ārām 'adam'
mere ahbāb ko taqrīr kī bīmārī hai