Abdul Hamid Adam

girte hain log garmi-e-bazar dekh kar

Abdul Hamid Adam

Gujranwala, Punjab, Pakistan

1910-1981
girte haiñ log garmī-e-bāzār dekh kar
sarkār dekh kar mirī sarkār dekh kar
āvārgī kā shauq bhaḌaktā hai aur bhī
terī galī kā sāya-e-dīvār dekh kar
taskīn-e-dil kī ek hī tadbīr hai faqat
sar phoḌ lījiye koī dīvār dekh kar
ham bhī ga.e haiñ hosh se saaqī kabhī kabhī
lekin tirī nigāh ke atvār dekh kar
kyā mustaqil ilaaj kiyā dil ke dard kā
vo muskurā diye mujhe bīmār dekh kar
dekhā kisī kī samt to kyā ho gayā 'adam'
chalte haiñ rāh-rau sar-e-bāzār dekh kar
Top Urdushayar.com