agarche roz-e-azal bhī yahī añdherā thā
tirī jabīñ se nikaltā huā saverā thā
pahuñch sakā na maiñ bar-vaqt apnī manzil par
ki rāste meñ mujhe rahbaroñ ne gherā thā
tirī nigāh ne thoḌī sī raushnī kar dī
vagarna arsa-e-kaunain meñ añdherā thā
ye kā.enāt aur itnī sharāb-ālūda
kisī ne apnā ḳhumār-e-nazar bikherā thā
sitāre karte haiñ ab us galī ke gird tavāf
jahāñ 'adam' mire mahbūb kā baserā thā