koī me.ayār-e-mohabbat na rahā mere ba.ad
har taraf aam haiñ ḳhāsān-e-vafā mere ba.ad
silsila un ke sitam kā na rahā mere ba.ad
badlā badlā sā hai dastūr-e-jafā mere ba.ad
kaun pahnegā gale meñ tirī ulfat kī kamand
kis ke sar hogī tirī zulf-e-dotā mere ba.ad
hoñgī qurbān tire ruḳh pe nigāheñ kis kī
chāñd ho jā.egā haale se judā mere ba.ad
sochtā huuñ ki ba-īñ ālam-e-betābī-e-dil
kaun māñgegā mohabbat kī duā mere ba.ad
daad chāheñge mirī tarah miTā kar kis ko
ishva-o-ġhamza-e-andāz-o-adā mere ba.ad
Thokareñ khātī phiregī shab-e-yaldā-e-firāq
ḳhuun ro.egī har ik taaza balā mere ba.ad
suunī suunī sī hai har mahfil-e-īzā-e-talabī
jaise duniyā meñ koī ġham na rahā mere ba.ad
ḳhīra ho jaatī thī jis se nigah-e-sabr-o-qarār
un ke lab par vo tabassum na rahā mere ba.ad
kyā ḳhabar thī ki maiñ ḳhud saath na dūñgā apnā
gosht ho jā.egā nāḳhun se judā mere ba.ad
fitrat-e-husn ko hai aise sitam-kash kī talāsh
jo vafā par bhī kare uzr-e-ḳhatā mere ba.ad
zard kar degā use merī tabāhī kā ḳhayāl
rañg laayā bhī agar rañg-e-hinā mere ba.ad
un kā dīvāna to kahlānā hai mushkil 'bāsit'
koī dīvāna agar ban bhī gayā mere ba.ad