ham ne hasratoñ ke daaġh āñsuoñ se dho liye
aap kī ḳhushī huzūr boliye na boliye
kyā hasīn ḳhaar the jo mirī nigāh ne
sādgī se bārhā ruuh meñ chubho liye
mausam-e-bahār hai ambarīñ ḳhumār hai
kis kā intizār hai gesuoñ ko kholiye
zindagī kā rāsta kāTnā to thā 'adam'
jaag uTh to chal diye thak ga.e to so liye