hañs ke bolā karo bulāyā karo
aap kā ghar hai aayā jaayā karo
muskurāhaT hai husn kā zevar
muskurānā na bhuul jaayā karo
had se baḌh kar hasīn lagte ho
jhūTī qasmeñ zarūr khāyā karo
taaki duniyā kī dilkashī na ghaTe
nit-na.e pairahan meñ aayā karo
kitne sāda-mizāj ho tum 'adam'
us galī meñ bahut na jaayā karo