havā sanke to ḳhāroñ ko baḌī taklīf hotī hai
mire ġham kī bahāroñ ko baḌī taklīf hotī hai
na chheḌ ai ham-nashīñ ab ziist ke māyūs naġhmoñ ko
ki ab barbat ke tāroñ ko baḌī taklīf hotī hai
mujhe ai kasrat-e-ālām bas itnī shikāyat hai
ki mere ġham-gusāroñ ko baḌī taklīf hotī hai
kaho maujoñ se lahrā kar na yuuñ palTeñ samundar se
ki bā-ġhairat kināroñ ko baḌī taklīf hotī hai
gale milte haiñ jab aapas meñ do bichhḌe hue sāthī
'adam' ham be-sahāroñ ko baḌī taklīf hotī hai