Abdul Hamid Adam

ye kaisi sargoshi-e-azal saz-e-dil ke parde hila rahi hai

Abdul Hamid Adam

Gujranwala, Punjab, Pakistan

1910-1981
ye kaisī sargoshī-e-azal sāz-e-dil ke parde hilā rahī hai
mirī samā.at khanak rahī hai ki terī āvāz aa rahī hai
havādis-e-roz-gār merī ḳhushī se kyā intiqām leñge
ki zindagī vo hasīn zid hai ki be-sabab muskurā rahī hai
tirā tabassum faroġh-e-hastī tirī nazar e'tibār-e-mastī
bahār iqrār kar rahī hai sharāb īmān lā rahī hai
fasāna-ḳhvāñ dekhnā shab-e-zindagī kā anjām to nahīñ hai
ki sham.a ke saath rafta rafta mujhe bhī kuchh niiñd aa rahī hai
agar koī ḳhaas chiiz hotī to ḳhair dāman bhigo bhī lete
sharāb se to bahut purāne mazāq kī baas aa rahī hai
ḳhirad ke TuuTe hue sitāre 'adam' kahāñ tak charāġh bante
junūñ kī raushan ravish hai āḳhir diloñ ko raste dikhā rahī hai
Top Urdushayar.com