Abdul Hamid Adam

aap ki aankh agar aaj gulabi hogi

Abdul Hamid Adam

Gujranwala, Punjab, Pakistan

1910-1981
aap kī aañkh agar aaj gulābī hogī
merī sarkār baḌī saḳht ḳharābī hogī
mohtasib ne hī paḌhā hogā maqāla pahle
mirī taqrīr ba-har-hāl javābī hogī
aañkh uThāne se bhī pahle hī vo hoñge ġhā.eb
kyā ḳhabar thī ki unheñ itnī shitābī hogī
har mohabbat ko samajhtā hai vo novel kā varaq
us parī-zād kī ta.alīm kitābī hogī
shaiḳh-jī ham to jahannam ke parinde Thahre
aap ke paas to firdaus kī chābī hogī
kar diyā muusā ko jis chiiz ne behosh 'adam'
be-naqābī nahīñ vo nīm-hijābī hogī
Top Urdushayar.com