daroġh ke imtihāñ-kade meñ sadā yahī kārobār hogā
jo baḌh ke tā.īd-e-haq karegā vahī sazāvār-e-dār hogā
bilā-ġharaz saada saada bātoñ se Daal deñ rasm dostī kī
jo silsila is tarah chalegā vo lāziman pā.edār hogā
chalo mohabbat kī be-ḳhudī ke hasīn ḳhalvat-kade meñ baiTheñ
ajiib masrūfiyat rahegī na ġhair hogā na yaar hogā
tire gulistāñ kī aabrū hai mahak tirī infirādiyat kī
tū kasmapursī se bujh bhī jaa.e to ġhairat-e-nau-bahār hogā
jahāñ na tū ho na koī hamdard ho na koī sharīf dushman
maiñ sochtā huuñ mujhe vo māhaul kis tarah sāzgār hogā
bahisht meñ bhī janāb-e-zāhid tumheñ na tarjīh mil sakegī
vahāñ bhī ḳhush-zauq āsiyoñ kā tapāk se intizār hogā
'adam' kī shab-ḳheziyoñ ke ahvāl yuuñ sunāte haiñ us ke mahram
ki sunñe vaale ye maan jaa.eñ koī tahajjud-guzār hogā